yaqin se jo guman ka fasla hai zamin se aasman ka fasla hai hawa-paimai ki khwahish hai itni ki jitna baadban ka fasla hai khayalat is qadar hain mukhtalif kyun hamare darmiyan ka fasla hai koi izhaar kar sakta hai kaise ye lafzon se zaban ka fasla hai main us tak kis tarah pahunchunga 'tabish' yahan se is jahan ka fasla hai