yaqin un pe lane ko ji chahta hai farebon mein aane ko ji chahta hai sitaron mein o dur se hansne wale tere pas aane ko ji chahta hai ba-zor-e-niyaz aastan ko kisi ke jabin tak bulane ko ji chahta hai mohabbat mein itna hun mahw-e-mohabbat unhen bhi bhulane ko ji chahta hai hasin jis ke din hon hasin jis ki raaten wo duniya basane ko ji chahta hai qasam hai tujhe muskura be-takalluf mita gar mitane ko ji chahta hai jahan tum farozan nazar aa rahe ho wahin jagmagane ko ji chahta hai hai jis mein khud apni tajalli ka dhoka wo parda uthane ko ji chahta hai salamat rahe rifat-e-ishq hamdam kahan sar jhukane ko ji chahta hai dam-e-subh lab-basta kaliyon ko ja kar 'shifa' gudgudane ko ji chahta hai