surat kisi ki dekhni qismat mein thi kahan

surat kisi ki dekhni qismat mein thi kahan
tuta hai mera aaina-e-zindagi kahan

raushan hayat hogi na jaane meri kahan
gham bakhshti hai dekhiye chal kar khushi kahan

har ek sans hai jahan tauhin-e-zindagi
ye le kar aa gai hai mujhe zindagi kahan

shayad fareb-e-sahil-e-duniya mein aa gai
ye kashti-e-hayat meri ruk gai kahan

kaliyan sisak ke rah gain gul kasmasa gae
tum ne bhi aa ke roki hai apni hansi kahan

ai bekasi-e-ishq zara badh ke dekhna
aage ye mujh se zindagi meri chali kahan

rukti hai dekho gardish-e-alam kidhar 'shifa'
leti hai sans ab ye meri zindagi kahan


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close