yar aaj main ne bhi ek kamal karna hai jism se nikalna hai ji bahaal karna hai aankhen aur chehre par chaar chhe lagani hain sara husn qudarat ka paemal karna hai zindagi ke raste par kyun khada hua hun main aate jate logon se kya sawal karna hai han bacha lun thoda sa khud ko din ke hathon se aati raat ka bhi to kuchh khayal karna hai lo pachas bhi ab to khair se hue pure ye tamasha kya 'alwi' sath sal karna hai