jab main suna ki yar ka dil mujhse haT gaya

jab main suna ki yar ka dil mujh se hat gaya
sunte hi is ke mera kaleja ulat gaya

farhad tha to shirin ke gham mein mua gharib
laila ke gham mein aan ke majnun bhi lat gaya

main ishq ka jala hun mera kuchh nahin ilaj
wo ped kya hara ho jo jad se ukhat gaya

itna koi kahe ki diwane pada hai kya
ja dekh abhi udhar koi pariyon ka ghat gaya

chhina tha dil ko chashm ne lekin main kya karun
upar hi upar us saf-e-mizhgan mein pat gaya

kya khelta hai nat ki kala aankhon aankhon mein
dil saf le liya hai jo puchha to nat gaya

aankhon mein meri subh-e-qayamat gai jhamak
sine se us pari ke jo parda ulat gaya

sun kar lagi ye kahne wo ayyar-e-naznin
kya bolen chal hamara to dil tujh se phat gaya

jab main ne us sanam se kaha kya sabab hai jaan
ikhlas hum se kam hua aur pyar ghat gaya

aisi wo bhaari mujh se hui kaun si khata
jis se ye dil udas hua ji uchat gaya

aankhen tumhaari kya phirin us waqt meri jaan
sach puchhiye to mujh se zamana ulat gaya

ushshaq jaan-nisaron mein main to imam hun
ye kah ke main jo us ke gale se lipat gaya

kitna hi us ne tan ko chhudaya jhidak jhidak
par main bhi qainchi bandh ke aisa chimat gaya

ye kashmakash hui ki gareban mera udhar
tukde hua aur us ka dupatta bhi phat gaya

aakhir isi bahane mila yar se 'nazir'
kapde bala se phat gae sauda to pat gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close