yar hain chin-bar-jabin sab mehrban koi nahin hum se hans kar bolne wala yahan koi nahin qismat ek shab le gai mujh ko jo bagh-e-wasl mein dekhta kya hun ki us ka baghban koi nahin barq-e-gulshan mein padi kis ke tabassum se saba jo na jhulsa howe aisa aashiyan koi nahin wae nakaami ki fariyaadi hain hum us shahr mein juz-khamoshi dad-ras apna jahan koi nahin subh hote khwab-e-ghaflat se jo chaunke hum to hae aankh ke khulte hi dekha karwan koi nahin ai dil-e-be-jurat itni bhi na kar be-jurati juz saba us gul ka is dam pasban koi nahin do ghadi mil baithen hum tum ek dam jo chain se hae zer-e-asman aisa makan koi nahin main jo puchhun hun tere ghar mein bhi aata hai koi yun kahe hai pher kar munh mein zaban koi nahin munh uthae jate hain yun dasht-e-ghurbat mein chale na-balad hain sab hi hum mein rah-dan koi nahin thahriyo tuk thahriyo ki aae hai aawaz si dekhiyo pichhe to aaj ai ham-rahan koi nahin khwab-gah se kya uda kar le gai us ko saba aur sab zewar hai us ka itr-dan koi nahin 'mushafi' kya khak hum sher-o-sukhan par ji lagaen shaeri ye kuchh hai lekin qadr-dan koi nahin