paigham gham-e-jigar ka gulzar tak na pahuncha nala mera chaman ki diwar tak na pahuncha us aaine ke manind zangar jis ko khawe kaam apna us ke gham mein didar tak na pahuncha jon naqsh-e-pa hai ghurbat hairan-kar us ki aawara ho watan se jo yar tak na pahuncha labrez shikwa the hum lekin huzur tere kar-e-shikayat apna guftar tak na pahuncha le chashm-e-nam-rasidd pani chuwane koi waqt-e-akhir us ke bimar tak na pahuncha ye bakhte--sabz dekho bagh-e-zamana mein se pazhmurda gul bhi apni dastar tak na pahuncha masturi khub-rui donon na jama howen khubi ka kaam kis ki izhaar tak na pahuncha yusuf se le ke ta-gul phir gul se le ke ta-shamma ye husn kis ko le kar bazar tak na pahuncha afsos 'mir' we jo hone shahid aae phir kaam un ka us ki talwar tak na pahuncha