yar ka wasl-e-shaba-shab na hua tha so hua saghar ishq-e-laba-lab na hua tha so hua le chuka dil ko wo mujh hath se tab main ne kaha is qadar tera matalib na hua tha so hua jaur aur zulm se duniya mein ye khuban ka ism bewafai ka mulaqqab na hua tha so hua karna taskhir har ek dil ko do ek baaton mein is tarah ka bhi ajaib na hua tha so hua roz lagta hai tere kan se ja ja ke raqib kasu ka itna maraatib na hua tha so hua ghairon ki bar mein tere ab to ye kuchh kasrat hai yani har koi musahib na hua tha so hua mehr ustad ki se dekho to is 'nain' ke tain sher kahne ka kabhi dhab na hua tha so hua