wo qad-awar meri unchai se badh kar na hua mere jhukne pe bhi wo mere barabar na hua apni dastar ka sauda nahin hoga mujh se waqt ke qadmon pe kham mera kabhi sar na hua apni aankhon se pila kar mujhe sairab karo pyas itni hai ki do ghunt samundar na hua main to is bojh ko sine se alag kar dunga dil ka kya kaam agar ye tera khugar na hua teri dawat mere aaine ko dhundla degi jo jhuke shah ke dar pe wo qalandar na hua hai mere pas meri khak-nashini ka jawaz main tere nain ke mansab pe muqarrar na hua mere tewar hi ai 'maqsud' bachat hai meri sakht mushkil mein bhi nilam ye zewar na hua