yar ne hum se be-adai ki wasl ki raat mein ladai ki baal-o-par bhi gae bahaar ke sath ab tawaqqo nahin rihai ki kulfat-e-ranj-e-ishq kam na hui main dawa ki bahut shifai ki turfa raftar ke hain rafta sab dhum hai us ki rahgirai ki khanda-e-yar se taraf ho kar barq ne apni jag-hansai ki kuchh murawwat na thi un aankhon mein dekh kar kya ye aashnai ki wasl ke din ko kar-e-jaan na khincha shab na aakhir hui judai ki munh lagaya na dukhtar-e-raz ko main jawani mein parsai ki jaur us sang-dil ke sab na khinche umr ne sakht bewafai ki kohkan kya pahad todega ishq ne zor-azmai ki chupke us ki gali mein phirte rahe der wan hum ne be-nawai ki ek nigah mein hazar ji mare sahiri ki ki dilrubai ki nisbat us aastan se kuchh na hui barson tak hum ne jabha-sai ki 'mir' ki bandagi mein jaan-bazi sair si ho gai khudai ki