yarab koi ho ishq ka bimar na howe mar jae wale us ko ye aazar na howe zindan mein phanse tauq pade qaid mein mar jae par dam-e-mohabbat mein giraftar na howe us waste kanpun hun ki hai aah nipat sard ye baw kaleje ke kahin par na howe sad nala-e-jaan-kah hain wabasta chaman se koi baal shikasta pas-e-diwar na howe pazhmurda bahut hai gul-e-gulzar hamara sharminda-e-yak-gosha-e-dastar na howe mange hai dua khalq tujhe dekh ke zalim yarab kaso ko us se sarokar na howe kis shakl se ahwal kahun ab main ilahi surat se meri jis mein wo bezar na howe hun dost jo kahta hun sin ai jaan ke dushman behtar to tujhe tark hai ta-khwar na howe khuban bure hote hain agarche hain nakoro be-jurm kahin un ka gunahgar na howe bandhe na phire khun par apni to kamar ko ye jaan-e-subuk tan pe tere bar na howe chalta hai rah-e-ishq hi us par bhi chale tu par ek qadam chal kahin zinhaar na howe sahra-e-mohabbat hai qadam dekh ke rakh 'mir' ye sair sar-e-kucha-o-bazar na howe