yar rutha hai hum sen manta nahin dil ki garmi sin kuchh o pahnta nahin tujh ko gahna pahna ke main dekhun haif hai ye banaw banta nahin jin nen us nau-jawan ko barta wo kisi aur ko baratta nahin koft chehre pe shab ki zahir hai kyun-ke kahiye ki kuchh wachanta nahin shauq nahin mujh kun kuchh mashikhat ka jal makdi ki tarah tanta nahin tere tan ka khamir aur hi hai aab o gil is safa sin santa nahin jiyo duniya bhi kaam hai lekin 'abru' bin koi karanta nahin