yaad-e-khuda kar bande yun nahaq umr kun khona kya haq chaha sui kuchh hoga un logon sin hona kya koi shah kui gada kahawe jaisa jis ka bana nasib jo kuchh hua tisi pe khush rah nan in logon sen hona kya sair safar kar dekh tamasha qudarat ka sab aalam ka ghar kun jhonk bhad ke bhitar aashiq ho kar kona kya jaan mamola jagat piyara jin dekha so thithak raha chanchal nipat achile nainan tan ke aage mirig chhuna kya dagh ke haikal anjhuwan ki mala zinat-e-ishq ki yahi nishani phiren mast jo birah ke tan kun moti lal pirona kya aaj 'abru' dil kun hamare shauq ne us ke magan kiya hai jag anadi dekh tamasha ishq laga tab sona kya