yar tha gulzar tha mai thi faza thi main na tha laeq-e-pabos-e-jaanan kya hina thi main na tha hath kyon bandhe mere chhalla agar chori gaya ye sarapa shokhi-e-duzd-e-hina thi main na tha be-khudi mein le liya bosa khata kijiye muaf ye dil-e-betab ki sari khata thi main na tha hae saqi ye ho saman aur aashiq wan na ho yar tha sabza tha badli thi hawa thi main na tha main sisakta rah gaya aur mar gae farhad-o-qais kya inhin donon ke hisse mein qaza thi main na tha main ne puchha kya hua wo aap ka husn-o-shabab hans ke bola wo sanam shan-e-khuda thi main na tha ai 'zafar' ye dil pa mere dagh kaisa rah gaya khana-bagh-e-yar mein khalq-e-khuda thi main na tha