jahan-e-jubba-o-dastar ki himayat kya yazid-e-waqt hai kya aur us ki bai'at kya munafiqana rawish aam hoti jati hai naqab-poshi-e-ahbab ki shikayat kya kisi bhi shakhs ko ab harf-e-haq ka pas nahin panap raha hai yahan par darogh-e-hikmat kya mujaviran-e-jahaalat ke baala-khanon mein sukhan-taraazi-e-ilm-o-adab ki qimat kya maza to jab hai ki rang-e-sukhan ho wajh-e-numud jo ishtihaar ki muhtaj ho wo shohrat kya mere rafiq farogh-e-junun ke aalam mein hai chaak chaak gareban to is pe hairat kya jo mil raha hai tumhein ghair ki inayat se yahi hai sans to is sans ki hai qimat kya zaban bhi ek zamin bhi hai ek rang bhi ek to phir miyan man-o-tu ki ye ajnabiyyat kya jhapat rahe hain sabhi sim-o-zar ke luqmon par hawas-giri hai faqat mansab-e-wazarat kya siyah dagh hain ye raushni ke chehre par murid-e-jehl hai kya pesha-e-tariqat kya azal se 'bakhsh' rah-e-pur-khatar se guzre hain jafa-shanasi-e-ahbab ki shikayat kya