yar tujh se juda nahin hota tu agar bewafa nahin hota chashm-e-saqi agar nahin hote zindagi mein maza nahin hota ab to sun lo hamari fariyaaden kaam tumre bina nahin hota main ne dekha hai aap ka chehra kaise kah dun khuda nahin hota husn un ka to nur jaisa hai har kisi ko ata nahin hota gar tumhaari ana nahin hoti darmiyan fasla nahin hota be-sabab duriyan badhane se pyar ka haq ada nahin hota