yaro kahan tak aur mohabbat nibhaun main do mujh ko bad-dua ki use bhul jaun main dil to jala kiya hai wo shoala sa aadmi ab kis ko chhu ke hath bhi apna jalaun main sunta hun ab kisi se wafa kar raha hai wo ai zindagi khushi se kahin mar na jaun main ek shab bhi wasl ki na mera sath de saki ahd-e-firaq aa ki tujhe aazmaun main badnam mere qatl se tanha tu hi na ho la apni mohr bhi sar-e-mahzar lagaun main utra hai baam se koi ilham ki tarah ji chahta hai sari zamin ko sajaun main us jaisa nam rakh ke agar aae maut bhi hans kar use 'qatil' gale se lagaun main