tu jo kahta hai bolta kya hai amr-e-rabbi hai ruh-e-maula hai jab talak hai juda tu hai qatra bahr mein mil gaya to dariya hai fil-haqiqat koi nahin marta maut hikmat ka ek parda hai aur shariat ki puchhta hai tu yar wahdahu la-sharik yakta hai haiga wahm-o-qayas se bahar wo na tujh sa hai aur na mujh sa hai jahan ho jo kaho sami-o-basir sab ko dekhe hai sab ki sunta hai nazar aata nahin wo aama ko warna us ka zuhur sab ja hai war tariqat ka tu kare hai sawal so to kahta hun gar samajhta hai ghair-e-haq ke na dekh ghair taraf dida-e-dil jo tera bina hai baat sunta hai to usi ki sun gar tariqat se tujh ko bahra hai us ke tu zikr bin na kar kuchh zikr gar dahan mein zaban-e-goya hai hath se kaam bhi usi ka kar panw se chal jo rah us ka hai kaam is mein bada hai nafs-kushi ho sake to ajab tamasha hai marifat puchh kya hai aarif se jis ko irfan hai so to gunga hai jis ne paya use so hai khamosh jis ne paya nahin so bakta hai aap hi aap hai jahan dekho kullo-shain muhit-e-paida hai ishq ka martaba hai sab se buland sar se pahle qadam guzarta hai jo hua sirr-e-ishq se aagah aage marne se aap marta hai jo fana ho hua baqa-billah kab use zindagi ki parwa hai us ko har aan har qadam har dam az sura sair ta-surayya hai ramz-e-tauhid ko samajh kar bol gar tu sahib-shuur-o-dana hai wo na samjhega ye sukhan 'hatim' jis ko jahl aur khayal-e-sauda hai