yaron ki hum se dil-shikani ho sake kahan yan pas hai na khatir-e-aghyar todiye hum jaur-e-chashm-e-yar se dam marte nahin yani rawa hai kab dil-e-bimar todiye yan dard-e-sar khumar se hai wan dukan band takra ke sar ko ab dar-e-khummar todiye takraun wan jo sar to wo kahta hai kya mujhe sahab na mujh gharib ki diwar todiye dam todna hai furqat-e-jaanan mein apna kaam kuchh kohkan nahin hain jo kohsar todiye 'nasikh' ba-qaul-e-afsah-e-hindostan kabhi zahid ka dil na khana-e-khummar todiye