yahan kya hai wahan kya hai idhar kya hai udhar kya hai koi samjhe to kya samjhe wo nairang-e-nazar kya hai na ho jis sar mein sauda sarfaroshi ka wo sar kya hai na phunke khirman-e-hasti to wo soz-e-jigar kya hai tere andaz ke bismil hain hum hum se koi puchhe teri banki ada kya hai teri tirchhi nazar kya hai jahan saman wahshat ke use wahshat-sara kahiye jahan asbab-e-virani wo virana hai ghar kya hai gae wo aur ye kahte gae o jazb-e-dil wale mujhe bhi dekhna hai jazba-e-dil ka asar kya hai