yas ki manzil mein tanhai thi aur kuchh bhi nahin jurat-e-parwaz sharmai thi aur kuchh bhi nahin aaj maikhane mein izn-e-am tha saqi tere is liye duniya idhar aai thi aur kuchh bhi nahin aaj meri kashti-e-tufan-shikan ne dosto dub jaane ki qasam khai thi aur kuchh bhi nahin log jis ko nag-o-nagin ka fusun kahne lage tum ne shayad zulf lahrai thi aur kuchh bhi nahin nuh ki kashti salamat rah gai hum bach gae zat-e-haq ki rahm-farmai thi aur kuchh bhi nahin manzil-e-sabr-o-raza mein jab kabhi rakkha qadam hath kanpe ruh tharrai thi aur kuchh bhi nahin doston ko jab sunaya 'zabt' ne apna kalam ek sada-e-marhaba aai thi aur kuchh bhi nahin