numud-e-rang se begana-war aai hai khizan ka bhes badal kar bahaar aai hai malul-o-muzmahil-o-be-qarar aai hai koi batae ye kaisi bahaar aai hai asir-e-khana-e-gulchin hain rang-o-bu ai dost ye kis ke ahd mein aisi bahaar aai hai suhag adh-khili kaliyon ka kis ne lut liya bahaar kis liye yun sogwar aai hai chaman fasurda gul aazurda ghunche pazhmurda khizan bahaar pe hai ya bahaar aai hai na barg-o-gul ki tamanna na rang-o-bu ki hawas 'sahab' mujh ko khizan saz-gar aai hai