ye aalam shauq ka dekha na jae wo but hai ya khuda dekha na jae ye kin nazron se tu ne aaj dekha ki tera dekhna dekha na jae hamesha ke liye mujh se bichhad ja ye manzar bar-ha dekha na jae ghalat hai jo suna par aazma kar tujhe ai bewafa dekha na jae ye mahrumi nahin pas-e-wafa hai koi tere siwa dekha na jae yahi to aashna bante hain aakhir koi na-ashna dekha na jae ye mere sath kaisi raushni hai ki mujh se rasta dekha na jae 'faraaz' apne siwa hai kaun tera tujhe tujh se juda dekha na jae