kya tang hum sitam-zadagan ka jahan hai jis mein ki ek baiza-e-mor aasman hai hai kaenat ko harakat tere zauq se partaw se aaftab ke zarre mein jaan hai haalanki hai ye sili-e-khara se lala rang ghafil ko mere shishe pe mai ka guman hai ki us ne garm sina-e-ahl-e-hawas mein ja aawe na kyun pasand ki thanda makan hai kya khub tum ne ghair ko bosa nahin diya bas chup raho hamare bhi munh mein zaban hai baitha hai jo ki saya-e-diwar-e-yar mein farman-rawa-e-kishwar-e-hindustan hai hasti ka e'tibar bhi gham ne mita diya kis se kahun ki dagh jigar ka nishan hai hai bare e'timad-e-wafa-dari is qadar 'ghaalib' hum is mein khush hain ki na-mehrban hai dehli ke rahne walo 'asad' ko satao mat be-chaara chand roz ka yan mehman hai