ye aarzu hai raat ka manzar dikhai de phir aasman ka chand zamin par dikhai de hum sair kar rahe hain khalaon ki raat-din mumkin nahin ki koi samundar dikhai de meri shahadaton ka karishma to dekhiye ab to lahu ki bund bhi khanjar dikhai de mujh ko safar qubul hai lekin hai ek shart main jis taraf bhi jaun mera ghar dikhai de muddat se paniyon ka safar kar rahe hain log yarab kahin to koi payambar dikhai de