ye thik hai wo hum ko mayassar nahin hua lekin kahan kahan wo munawwar nahin hua lauta jo sham ko to koi muntazir na tha is bar be-qarar mera ghar nahin hua kya jaane kab utarne lage wo dimagh par koi junun ka waqt muqarrar nahin hua sab jitne ki zid pe yahan haarne lage sadiyon se koi shakhs sikandar nahin hua bazu to kat ke jud gae meri hayat se lekin abhi nasib mujhe sar nahin hua phal tod leta aaj main apni hayat ka achchha hua ki hath mein patthar nahin hua sahra se lakhon bar nichodi gai hai pyas phir bhi samundaron ka gala tar nahin hua