ye ab khula ki koi bhi manzar mera na tha main jis mein rah raha tha wahi ghar mera na tha main jis ko ek umr sambhaale phira kiya mitti bata rahi hai wo paikar mera na tha mauj-e-hawa-e-shahr-e-muqaddar jawab de dariya mere na the ki samundar mera na tha phir bhi to sangsar kiya ja raha hun main kahte hain nam tak sar-e-mahzar mera na tha sab log apne apne qabilon ke sath the ek main hi tha ki koi bhi lashkar mera na tha