ye to nahin ki tum se mohabbat nahin mujhe itna zarur hai ki shikayat nahin mujhe main hun ki ishtiyaq mein sar-ta-qadam nazar wo hain ki ek nazar ki ijazat nahin mujhe aazadi-e-gunah ki hasrat ke sath sath aazadi-e-khayal ki jurat nahin mujhe dubhar hai garche jaur-e-azizan se zindagi lekin khuda-gawah shikayat nahin mujhe jis ka gurez shart ho taqrib-e-did mein is hosh is nazar ki zarurat nahin mujhe jo kuchh guzar rahi hai ghanimat hai ham-nashin ab zindagi pe ghaur ki fursat nahin mujhe main kyun kisi ke ahd-e-wafa ka yaqin karun itni shadid gham ki zarurat nahin mujhe sajde mere khayal-e-jaza se hain mawara maqsud bandagi se tijarat nahin mujhe main aur de sakun na tere gham ko zindagi aisi to zindagi se mohabbat nahin mujhe 'ehsan' kaun mujh se siwa hai mera adu apne siwa kisi se shikayat nahin mujhe