ye abr-o-baad ye tufan ye andheri raat ab ek mod pe aa ja rafiq-e-rah-e-hayat hawa ke dosh pe mauj-e-ajal khiraman hai mariz-e-dahr pe tari hain naza ke lamhat hayat ek takhayyul nahin haqiqat hai mujhe batai hai aadam ke azm ne ye baat mere rafiq mohabbat ke din bhi aaenge wahi hasin sawera wahi kunwari raat wahi gulab ke mausam wahi sharab ke daur wahi sharir ghataen wahi bhari barsat sunai jaegi koyal ko ham-nawa kar ke hasin phulon ko bhaunron ki ek raaz ki baat ghazal ki dal saja kar chaman ki dulhan ko 'salam' nazr karega suhag ki saughat