ye ahd-e-nau ho mubarak tujhe magar saqi nizam-e-maikada abtar hai ghaur kar saqi udan tez hai itni ki tham gae manzar ruka ruka sa hai lamhat ka safar saqi faza mein tair rahe hain qaza ke jarsume base hain dasht mein barud ke nagar saqi jhulas raha hai tassub ki aag mein gulshan qayamaten hain qayamat se peshtar saqi pade hain khak pe behosh aadmi-zade khudai karte hain mahlon mein jaanwar saqi wo dekh jahal-o-zalalat ki masnad-arai faraaz-e-dar par latke hain dida-war saqi kahan wo rind wo paimane aur wo sahba gae zamanon ki baaten na yaad kar saqi mujhe khabar hai tere khum mein mai nahin baqi mere hi khun se ab mera jam bhar saqi