ye aish-o-tarab ke matwale be-kar ki baaten karte hain pael ke ghamon ka ilm nahin jhankar ki baaten karte hain nahaq hai hawas ke bandon ko nazzara-e-fitrat ka dawa aankhon mein nahin hai betabi didar ki baaten karte hain kahte hain unhin ko dushman-e-dil hai nam unhin ka naseh bhi wo log jo rah kar sahil par manjdhaar ki baaten karte hain pahunche hain jo apni manzil par un ko to nahin kuchh naz-e-safar chalne ka jinhen maqdur nahin raftar ki baaten karte hain