kahte hain jis ko 'nazir' suniye tuk us ka bayan tha wo moallim gharib buzdil o tarsanda-jaan koi kitab is ke tain saf na thi dars ki aae to mani kahe warna padhai rawan fahm na tha ilm se kuchh arabi ke use farsi mein han magar samjhe tha kuchh in o aan likhne ki ye tarz thi kuchh jo likhe tha kabhi pukhtagi o khami ke us ka tha khat darmiyan sher o ghazal ke siwa shauq na tha kuchh use apne isi shaghl mein rahta tha khush har zaman sust rawish past qad sanwla hindi-nazhad tan bhi kuchh aisa hi tha qad ke muafiq ayan mathe pe ek khal tha chhota sa masse ke taur tha wo pada aan kar abruon ke darmiyan waza subuk us ki thi tis pe na rakhta tha rish muchhain thin aur kanon par patte bhi the pumba-san piri mein jaisi ki thi us ko dil-afsurdagi waisi hi rahi thi un dinon jin dinon main tha jawan jitne gharaz kaam hain aur padhane siwa chahiye kuchh us se hon utni liyaqat kahan fazl ne allah ke us ko diya umr bhar izzat-o-hurmat ke sath parcha o aab-o-nan