ye apna wasf-e-derina ki ayyari nahin karte

ye apna wasf-e-derina ki ayyari nahin karte
watan se hum kisi qimat pe ghaddari nahin karte

giraftar-e-bala rahte hain lekin shukr hai yaro
kisi taur apni hum nilam khuddari nahin karte

abhi khanjar liye rahta hai galiyaron mein har koi
udega sar tumhaara bhi ki hushyari nahin karte

gile is ke alawa kuchh na honge puchh kar dekho
hum un ke dar pe subh-o-sham darbari nahin karte

hamari be-gunahi ho gai shamil gunahon mein
to munsif kis liye hukm-e-saza jari nahin karte

wo jin ke khana-e-dil mein hai qindil-e-ana raushan
ghalat rasm-o-riwayat ki taraf-dari nahin karte

khuda ke nek bandon ki hai ye pahchan ai 'anjum'
wo apne kya parae ki dil-azari nahin karte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close