zikr-o-wird-o-dua se behtar hai

zikr-o-wird-o-dua se behtar hai
mai-kashi har riya se behtar hai

koi batlao in hasinon mein
kaun us be-wafa se behtar hai

dil hi wala kuchh us ko jaane hai
qahr tera ata se behtar hai

soz-e-gham mein bataiye dil ko
nuskha ye kimiya se behtar hai

kab kisi ishq ke fasane ki
intiha ibtida se behtar hai

ai mere chaara-saz rahne de
ye maraz to shifa se behtar hai

aap itna to jaante honge
lutf jaur-o-jafa se behtar hai

phir wahi lal-e-nosh-e-lab ai dost
haal kuchh is dawa se behtar hai

dushmani bad sahi magar ye shai
be-rukhi ki saza se behtar hai

hum ko to ye azab-e-dida-wari
dosto har jaza se behtar hai

dekh wo ek sada pairahan
kitne rangin-qaba se behtar hai

saf inkar ai wafa-dushman
is fareb-e-ada se behtar hai

rahzanon se ye bach ke chalta hai
rah-rau rahnuma se behtar hai

lao 'jabir' wo shai jo duniya mein
is dil-e-mubtala se behtar hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close