ye aur baat dur rahe manzilon se hum

ye aur baat dur rahe manzilon se hum
bach kar chale hamesha magar qafilon se hum

hone ko phir shikar nai uljhanon se hum
milte hain roz apne kai doston se hum

barson fareb khate rahe dusron se hum
apni samajh mein aae badi mushkilon se hum

manzil ki hai talab to hamein sath le chalo
waqif hain khub rah ki barikiyon se hum

jin ke paron pe subh ki khushbu ke rang hain
bachpan udhaar lae hain un titliyon se hum

kuchh to hamare beach kabhi duriyan bhi hon
tang aa gae hain roz ki nazdikiyon se hum

guzren hamare ghar ki kisi rahguzar se wo
parde hataen dekhen unhen khidkiyon se hum

jab bhi kaha ki yaad hamari kahan unhen
pakde gae hain thik tabhi hichkiyon se hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close