zat ki sair pe niklun meri himmat hi nahin is bayaban se guzarne ki jasarat hi nahin zindagi main ne qanaat ka hunar sikh liya ab tere naz uthane ki zarurat hi nahin koi shikwa na shikayat na sitam hai na jafa ek muddat se teri hum pe inayat hi nahin jab bhi milte hain chamak uthti hain aankhen un ki aur dawa hai unhen hum se mohabbat hi nahin dil to kya chiz hai patthar bhi pighal jae magar jazba-e-ishq mein tere wo hararat hi nahin apne ashkon se bana dete bayaban ko chaman kya karen hum ko to rone ki ijazat hi nahin mo'atabar bhi wahi arbab-e-nazar mein thahri jis kahani mein koi harf-e-sadaqat hi nahin us ki yaad aai hai mat chhed mujhe baad-e-saba tujh se phir baat karungi abhi fursat hi nahin gulshan-e-dil pe khizaon ka tasallut hai 'nigar' koi khwahish koi arman koi chahat hi nahin