ye aur baat ki lahja udas rakhte hain khizan ke git bhi apni mithas rakhte hain kahen to kya kahen hum un ki sada-lauhi ko jo qatilon se tarahhum ki aas rakhte hain kisi ke samne phailain kis liye daman tumhaare dard ki daulat jo pas rakhte hain unhen hayat ki tohmat na do abas yaro jo apna jism na apna libas rakhte hain qarib-e-gul-badnan rah chuke hain diwane ye khar wo hain jo phulon ki bas rakhte hain kahan bhigoe koi apne khushk honton ko ye daur wo hai ki dariya bhi pyas rakhte hain khuda ka shukr ada kije khush-nasibi par 'hafiz' aap dil-e-gham-shanas rakhte hain