ye hadsa bhi shahr-e-nigaran mein ho gaya be-chehragi ki bhid mein har chehra kho gaya jis ko saza mili thi ki jage tamam umr sunta hun aaj maut ki banhon mein so gaya harkat kisi mein hai na hararat kisi mein hai kya shahr tha jo barf ki chattan ho gaya main us ko nafraton ke siwa kuchh na de saka wo chahaton ka bij mere dil mein bo gaya marham to rakh saka na koi mere zakhm par jo aaya ek nishtar-e-taza chubho gaya ya kijiye qubul ki har chehra zard hai ya kahiye har nigah ko yarqan ho gaya main ne to apne gham ki kahani sunai thi kyun apne apne gham mein har ek shakhs kho gaya us dushman-e-wafa ko dua de raha hun main mera na ho saka wo kisi ka to ho gaya ek mah-wash ne chum li peshani-e-'hafiz' dilchasp hadsa tha jo kal raat ho gaya