ye aur baat ki maujud apne ghar mein hun main teri samt magar mustaqil safar mein hun na jaane agli ghadi kya se kya mein ban jaun abhi to chaak pe hun dast-e-kuza-gar mein hun main apni fikr ki tajsim kis tarah se karun burida-dast hun aur shahr-e-be-hunar mein hun na jaane kaun sa mausam mujhe hara kar de numu ke waste be-tab hun shajar mein hun ye dosti bhi ajab chob-e-khushk hai 'nasir' nibha raha hun magar tutne ke dar mein hun