tumhaare dil ki tarah ye zamin tang nahin khuda ka shukr ki panw mein apne lang nahin ajib us se talluq hai kya kaha jae kuchh aisi sulh nahin hai kuchh aisi jang nahin koi batao ki is aaine ka mol hai kya jis aaine pe nishan-e-ghubar-o-zang nahin mera junun hai kotah ya ye shahr-e-tabah jo zakhm-e-sar ke liye yan talash-e-sang nahin hain sare qafila-salar sab hain rah-numa ye kya safar hai jo koi kisi ke sang nahin jo kuchh mata-e-hunar ho to samne lao ki ye zamana-e-izhaar-e-nasl-o-rang nahin