ye aur baat ki tujh bin teri tamanna mein guzar rahe hain mere din teri tamanna mein tere shabab ke sailab mein na bah jaen jo khwab hain abhi kam-sin teri tamanna mein na jaane kya tujhe bha jae aur tu aa jae saja hai zahir-o-baatin teri tamanna mein isi liye to kisi se ziyan ka zikr nahin koi nahin mera zamin teri tamanna mein har ek taraf se jo kafir qarar pae the wo log ho gae momin teri tamanna mein