wo naqsh-e-qadam mehwar-o-maqsud hain mere

wo naqsh-e-qadam mehwar-o-maqsud hain mere
maula hue kabe mein jo maulud hain mere

mere liye manus hai wo maut ki wadi
kuchh log wahan pahle hi maujud hain mere

us ruh-e-tamanna ki mahak tak hui rukhsat
baqi jo bache sans wo be-sud hain mere

chehra hai ye kis ka mere chehre ki jagah par
aainon ke aaine hi masdud hain mere

aankhen jo khulin dekha sukut-e-ajal-e-khwab
tha shor sitare bade masud hain mere

garche hun gunahgar magar un ka gada hun
khush hun ki sakhi ahmad-o-mahmud hain mere

masum hain aur koi khata un ki nahin hai
mazlum jinhen kha gaya barud hain mere

tauhid-mizajon mein mera nam ba-har-gam
samjhao jinhen wahm hai mabud hain mere

main qabil-e-rashk un ko samajhta nahin 'yasir'
jin logon ko dawa hai ki mahsud hain mere


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close