ye baat munkashif hui charag ke baghair bhi

ye baat munkashif hui charag ke baghair bhi
main dhund lunga har khushi charag ke baghair bhi

hua tha jis jagah kabhi visal-e-yar dosto
hai us jagah pe raushni charag ke baghair bhi

likkhi gai hain jis ke sath zindagi ki manzilen
wo aa milega aadmi charag ke baghair bhi

masarraton ke qafile luta rahi hai phir mujhe
teri ye khud-supurdagi charag ke baghair bhi

main tazkira karun to kya karun jamal-e-yar ka
damak rahi thi dilkashi charag ke baghair bhi

tumhaari ek yaad be-shumar hasraton ke rang
nigah mein saja gai charag ke baghair bhi

gila kisi se kyun karun guzar hi jaegi 'khayal'
ye mukhtasar si zindagi charag ke baghair bhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close