sozish-e-gham ke siwa kahish-e-furqat ke siwa ishq mein kuchh bhi nahin dard ki lazzat ke siwa dil mein ab kuchh bhi nahin un ki mohabbat ke siwa sab fasane hain haqiqat mein haqiqat ke siwa kaun kah sakta hai ye ahl-e-tariqat ke siwa sare jhagde hain jahan mein teri nisbat ke siwa kitne chehron ne mujhe dawat-e-jalwa bakhshi koi surat na mili aap ki surat ke siwa gham-e-uqba gham-e-dauran gham-e-hasti ki qasam aur bhi gham hain zamane mein mohabbat ke siwa bazm-e-jaanan mein are zauq-e-farawan ab tak kuchh bhi hasil na hua dida-e-hairat ke siwa wo shab-e-hijr wo tarik faza wo wahshat koi gham-khwar na tha dard ki shiddat ke siwa mohtasib aao chalen aaj to mai-khane mein ek jannat hai wahan aap ki jannat ke siwa jo tahi-dast bhi hai aur tahi-daman bhi wo kahan jaega tere dar-e-daulat ke siwa jis ne qudrat ke har iqdam se takkar li hai wo pashiman na hua jabr-e-mashiyyat ke siwa mujh se ye puchh rahe hain mere ahbab 'aziz' kya mila shahr-e-sukhan mein tumhein shohrat ke siwa