ye baat sach hai ki tera makan uncha hai tu ye na soch tera khandan uncha hai kamal kuchh bhi nahin aur shohraton ki talab sambhal ke tir chalana nishan uncha hai kahin azab na ban jae us ka saya bhi sutun tute hue saeban uncha hai mujhe yaqin hai tu shart haar jaega ki dastaras se teri aasman uncha hai wo qatilon ko chhuda laega adalat se hai us ki baat mudallal bayan uncha hai qubul karta nahin ye dilon ke rishton ko samaj tere mere darmiyan uncha hai isi ghurur mein 'dana' saron se chhat bhi gai tere makan se mera makan uncha hai