ek raaz-e-dilruba ko bayan hona hai abhi harf-o-sada ko shoala-ba-jaan hona hai abhi jagi hai dil mein shahd-e-shahadat ki aarzu rah-e-wafa ka sang-e-nishan hona hai abhi roka hua hai tum ne hawaon ko kis liye is rakh mein sharar ka guman hona hai abhi sansen shabon ki jaan ki tanaben ukhad gain agle safar pe hum ko rawan hona hai abhi mahsur hai wo kibr-o-ana ke hisar mein us se taaruf apna kahan hona hai abhi tabir ki talash mein phirte hain khwab khwab chashm-e-jahan pe aks-fashan hona hai abhi