ye baat ye tabassum ye naz ye nigahen aakhir tumhin batao kyunkar na tum ko chahen ab sar utha ke main ne shikwon se hat uthaya mar jaunga sitamgar nichi na kar nigahen kuchh gul hi se nahin hai ruh-e-numu ko raghbat gardan mein khar ki bhi dale hue hai banhen allah ri dil-farebi jalwon ke bankpan ki mahfil mein wo jo aae kaj ho gain kulahen ye bazm 'josh' kis ke jalwon ki rahguzar hai har zarre mein hain ghaltan uthti hui nigahen