ye nasib-e-shairi hai zahe shan-e-kibriyai ki mile na zindagi bhar mujhe dad-e-khush-nawai ba-khuda azim-tar hai shohda ke khun se bhi mere sina-e-qalam mein jo bhari hai raushnai ye ajib majra hai ki khadyau-e-haft-qulzum taraf-e-sarab daude pai-e-qismat-azmai falak aur use jhukae sar-e-manzil-e-safihan malak aaen jis ke dar par ba-hawa-e-jabha-sai chaman-e-shuur-e-nau ko jo lahu se apne sinche kabhi us ko sukh na bakhshe koi panja-e-hinai hama saz hun ba-zahir hama soz hun ba-baatin meri zindagi bukai meri shairi ghinai mere tar o paud larzan ba-hawa-e-na-muradi mere khadd-o-khal darakhshan ba-tabassum-e-riyai mera dil hai girya maskan mere lab tarana manzil meri nai shikast-e-khatir meri lai hai momyai mera jam-e-shab suleman hama taj-e-khusrawana meri chashm-e-roz paima hama kasa-e-gadai meri bargah-e-hasti hama ijz bandagana meri bargah-e-masti hama satwat-e-khudai dar-e-khalq par jhuka hai na jhukega ta qayamat sar-e-'josh' mein bhara hai wo ghurur-e-kibriyai