ye baaton hi baaton mein baaten badalna koi tum se sikhe ye aankhen badalna hum aaseb ke dar se ghar kyun badal len parindon pe jachta hai shakhen badalna kuchh apna bhi kah lo yun kab tak chalega radifen uchakna zaminen badalna wahi gham se aari hain kar-e-jahan mein jinhen khub aata hai rahen badalna ye jina bhi shatranj hi ne sikhaya ki chaalon ke lagne pe chaalen badalna riwayat rahi hai yahi fi zamana nazariye badalna kitaben badalna ye tujh se hi sikha hai jaan-e-tamanna zara si udasi mein banhen badalna