ye wahm jaane mere dil se kyun nikal nahin raha ki us ka bhi meri tarah se ji sambhal nahin raha koi waraq dikha jo ashk-e-khun se tar-ba-tar na ho koi ghazal dikha jahan wo dagh jal nahin raha main ek hijr-e-be-murad jhelta hun raat din jo aise sabr ki tarah hai jis ka phal nahin raha to ab mere tamam ranj mustaqil rahenge kya? to kya tumhaari khamushi ka koi hal nahin raha? kadi masafaton ne kis ke panw shal nahin kiye? koi dikhao jo bichhad ke hath mal nahin raha